Wednesday, August 08, 2007

Following nauhey(Elegy-poem of mourning, a reflection on the death of someone or on a sorrow generally) written by Allama Qais Zangipuri

Aye Zuljana kya kia apne sawar ko............
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve......
Marte dam jin ko paani pilana na tha.........
Click here to read all nauhas


Khak pe hain bekafan godh ke paley huve
Rotey hain shahe zaman dil ko sambhale huve


Dasht me aae rasool khuld se zaaro malool
Maqtaley sarwar ki khak sar pe hain dale huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Sar se giri hai rida hosh nahin hai baja
Fathema Zahra ko aaj hooren sambhaley huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Aankhon me aansu bhare taktey hain gardun ko shah
Gardane besheer se teer nikaley huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Kahte the shahe umam pehley hi samjhe the ham
Khak pey todenge dam godh ke paley huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Shah ne Wasiyat ye ki zainabe nashaad se
Aaj se mere yateem tere hawale huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Muh se na nikle koee kalma bajus shukre haq
Roiyo hamko behen dil ko sambhale huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Hogi jo tum nauha gar Jayenge bache kidhar
Pyas ke mare huve nazon ke paley hove
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Kaun sakeena ko haye zulmo sitam se bachaye
Kushtaye teghe sitam chahne wale huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Ro ro ke muslim ke laal girte hain har har qadam
Kanton par kyun kar chaley nazon ke paley huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Kahtey they Abid ghareeb kya karun main gham naseeb
Dasht me aakar juda qafele wale huve
Khak pe hain bekafan godh ke paley huve……

Sun ke zameen par ye hai hooron me hai shoro shain
Qasre falak se baland Qais ke naley huve
-------------------------------------------------

Aye zuljana kya kia apne sawar ko
Dilbande Mustafa shahe gardun waqaar ko


Jab janta tha margaye sab khwaisho aqreba
Phir kis pe chod aya gharibudayaar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..

Maqtal se daudta hua khali phira hai kyun
Wasvaas araha hai dile beqaraar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..

Aye zuljana is tarhe aane ka fayda
Jab khariyat se leke na aaya sawaar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..

Kyun sar jhukae sharm se rota hai zaar zaar
Kya khak par gira diya apne sawaar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..

Kya hogaee yateem sakeena bala naseeb
Kyun ro raha hai dekh ke is dil figaar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..

Jis manzile akheer ka bachpan se shaukh tha
Kya us jagha utara hai apne sawaar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..

Aye Qais ahle shaam ne andhera kar diya
Gul kar diya nabi ke charaghe mazaar ko
Aye zuljana kya kia apne sawar ko……..
---------------------------------------------------

Marte dam jin ko paani pilaa na tha
Unko ghar se munasib bulana na tha


Kyun na shah rotey hare k se mil kar galey
Phir palat kar madiney me aana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Jis se sajjad ka khun tapakta na ho
Haye aisa koi taziyana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Sans bhi le na sakte they ahle haram
Qabr zindon ki thi qaidkhana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Shamiyo kalmagoh jis payambar ke ho
Uske ghar ka munasib jalana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Zibha sayyad ko tashna dahan kyun kiya
Jurm pyase ko paani pilana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Lashe sarwar ko sajjad dete kafan
Is qadar bhi maqafiq zamana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Kaun ghurbat me shabbir ko poochta
Wo rasoole khuda ka zamana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Bano chillae asghar ka sar dekh kar
Tere marne ka beta zamana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Tu lahad se meri jaan nikala gaya
Tera zere zameen bhi thikana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Dar ba dar koofiyon ne phiraya jisey
Kya rasoole khuda ka zamana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……

Qais ki shafa’at na karte nabi
Juz jahannam phir uska thikana na tha
Marte dam jin ko paani pilana na tha……
Unko ghar se munasib bulana na tha……

No comments: