Friday, August 24, 2007

QASEEDA- By Molana Syed Farqaleetha Ali Husaini Zangipuri

QASEEDA- DHOOP

By Molana Syed Farqaleetha Ali Husaini Zangipuri

Subho huwi suraj ne nikal kar charo taraf phelaayi dhoop
Pehle Ali ki chokhat chumi phir kaabe per aayi dhoop

Bughz-e-Ali mein jalne wale aur bhi jalthe jathe the
Magrib se jab suraj palta aur saro per chaayi dhoop

Nusrath-e- haq ke josh mein aakar jab maidan main aaye habeeb
Ek boodhe ki jism ki garmi dekh ke khud ghabrayi dhoop

Hindu hai na muslim hai na sikh hai na esaayi dhoop
Moula ka aashiq hai suraj asl mein hai moulayi dhoop

Saalgira hai dhoop ki yaron ghaur se dekho suwe haram
Aayi jidar-e-kaba per phir noor simatne aayi dhoop

Pyaas ki shiddath looh ki hiddath bachchon ke murjhaye chehre Karbobala ke ban mein aakar har lamha pashthayi dhoop

Dhoop ki jab hothi hai shiddath phool har ek murjhatha hai
Shah-e- zaman ka phool jab aaya sharm se khud murjhayi dhoop

Hukm-e- Ali hi hukm-e-khuda hai duniya ne ye jaan liya
Mujko bathao hukm se kiske jaake dobara aayi dhoop


Click here to read furthur

No comments: