NOHA
Haye hussain-e- ghareeb
Kufiyo ne ghar se bulaya tumhe
Roza-e-ahmed se chudaya tumhe
Ranj diye khoon rulaya tumhe
Pyaas mein pani naa pilaya tumhe
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Ishq ka jo haq tha ada kardiya
Sar rahe khaliq mein fida kardiya
Wada-e- thiflee ko wafa kar diya
Ummath-e-aasi ka bhala kardiya
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Fathima thi laash pe noha kuna
Tumko ajal kheench ke layee kahaan
Pyaase hi duniya se gaye meri jaan
Khaak pe mayyath hai thasadduq huma
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Jab koi pardes mein marne laga
Dekh ne walo ko tharas aagaya
Pakey ishaara usey paani diya
Marne pe samaan kiya dafn ka
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Pohonche jo darbaar mein aal-e-nabi
Dekh ke hastha tha yazeed-e- shaqi
Hind pe jis dam ye haqeeqath khuli
Peet-thi sar aayi ye kehthi huwee
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Zafar-e jin ko huwa maaloom jab
Qatl huwe sibth-e- rasool-e-arab
Roke pukaare ye huwa kya ghazab
Neher pe maarey gaye tum thashna lab
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Hazrath-e-ayyub bala mein rahe
Hazrath-e-yahiya ne bohoth dukh sahe
Hazrath-e- jirjees pe aarey chale
Per na mazalim ye kisi per huwe
Sibth-e-rasool-e-zaman….. haye hussain-e-ghareeb
Chutgaya tumse wathan ….haye hussain-e-ghareeb
Margaye tashna dahan ……haye hussain-e-ghareeb
Paaya na tumne kafan…….haye hussain-e-ghareeb
Click here to read furthur
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment