QASEEDA
Gham-e-hussain na ho tho khushi nahi hoti
By Molana syed farqaleetha ali hussaini zangipuri
Lahoo mein jinke wila-e- Ali nahi hoti
Hamari unse kabhi dosti nahi hoti
Ye bath hazrath-e-waiz ko kaun samjaye
Ye maikada hai yahan dillagi nahi hoti
Tujhe namaz mein bhi shak pe shak hai ye waiz
Yahan nashe mein bhi ghaflath kabhi nahi hoti
Yeh raaz teri samaj mein naa aa saka ab tak
Baghair hubbe Ali bandagi nahi hoti
Bohoth buland hai meyyaar-e- ashiqan-e-Ali
Hamari bath giri aur padi nahi hoti
Zaroor kehtha mein jannath ko lajawab “ANEEQ”
Agar nazar mein najaf ki gali nahi hoti
Yeh bath zikr-e-Ali per faqath nahi mauqoof
Munafiqon pe kabhi taazgi nahi hoti
Agar naa aatha dar-e-fathema ke bosey ko
Kabhi sithaaron mein taa bandagi nahi hoti
Na jaane kyu mujhe aksar khayal aatha hai
Meri nuseri se kyu dushmani nahi hoti
Yeh poochthe hai farishthon se dushmana ne Ali
Hamari qabr mein kyun roshni nahi hoti
Kaha farishthon ne bughz-e-Ali andhera hai
Andhere mein kabhi taabandagi nahi hoti
Yeh bath apne hi sheron se hogayi maloom
Baghair luthfe khuda shayeri nahi hoti
Kisi bhi mulk mein jaaye kisi dayaar main hum
Gham-e- hussain naa ho tho kushi nahi hoti.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment